qabr-e-ashiq par muqarrar roz aana kijiye
qabr-e-āshiq par muqarrar roz aanā kījiye
jo gayā ho jaan se us ko bhī jaanā kījiye
raat daarū pījiye ġhairoñ meñ be-lait-o-la.al
yaañ sahar sar dukhne kā ham se bahāna kījiye
Tuk tumhāre hoñT ke hilne se yaañ hotā hai kaam
itnī utnī baat jo hove to maanā kījiye
gosha-e-chashm-e-butāñ yā kunj-e-lab is vaqt meñ
jā kahīñ ho to dil apne kā Thikānā kījiye
sīkhiye ġhairoñ ke haañ chhup-chhup ke ilm-e-tīr phir
saare aalam meñ hamāre tiiñ nishāna kījiye
rafta rafta qāsidoñ ko raftagī us se huī
jī meñ hai ab ke muqarrar apnā jaanā kījiye
nikle hai āñkhoñ se to gard-e-kudūrat jā-e-ashk
tā-kujā terī galī meñ ḳhaak chhānā kījiye
ābshār aane lage aañsū ke palkoñ se to 'mīr'
kab talak ye āb-chādar muñh pe taanā kījiye
qabr-e-ashiq par muqarrar roz aana kijiye
jo gaya ho jaan se us ko bhi jaana kijiye
raat daru pijiye ghairon mein be-lait-o-lal
yan sahar sar dukhne ka hum se bahana kijiye
Tuk tumhaare honT ke hilne se yan hota hai kaam
itni utni baat jo howe to mana kijiye
gosha-e-chashm-e-butan ya kunj-e-lab is waqt mein
ja kahin ho to dil apne ka Thikana kijiye
sikhiye ghairon ke han chhup-chhup ke ilm-e-tir phir
sare aalam mein hamare tin nishana kijiye
rafta rafta qasidon ko raftagi us se hui
ji mein hai ab ke muqarrar apna jaana kijiye
nikle hai aankhon se to gard-e-kudurat ja-e-ashk
ta-kuja teri gali mein KHak chhana kijiye
aabshaar aane lage aansu ke palkon se to 'mir'
kab talak ye aab-chadar munh pe tana kijiye
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0550
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.