qatl-gah mein dast-bos us ka karen fil-faur log
qatl-gah meñ dast-bos us kā kareñ fil-faur log
ham khaḌe talvāreñ khāveñ naqsh māreñ aur log
kaj-ravī ham āshiqoñ se us kī bas ab jā chukī
ek to nā-sāz phir us se mile be-taur log
zaḳhm-e-teġh-e-yār ġhā.ir ho ke pahuñchā dil talak
haif mere haal par karte nahīñ Tuk ġhaur log
jā ke duniyā se tujhe yaad ā.ūñgā maiñ bhī bahut
baad mere kab uThāveñge tire ye jaur log
rasm-o-ādat hai ki har-yak vaqt kā hotā hai zikr
'mīr' baare yaad kar roveñge kyā ye daur log
qatl-gah mein dast-bos us ka karen fil-faur log
hum khaDe talwaren khawen naqsh maren aur log
kaj-rawi hum aashiqon se us ki bas ab ja chuki
ek to na-saz phir us se mile be-taur log
zaKHm-e-tegh-e-yar ghair ho ke pahuncha dil talak
haif mere haal par karte nahin Tuk ghaur log
ja ke duniya se tujhe yaad aaunga main bhi bahut
baad mere kab uThawenge tere ye jaur log
rasm-o-adat hai ki har-yak waqt ka hota hai zikr
'mir' bare yaad kar rowenge kya ye daur log
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1161
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.