Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qissa kahen to kya kahen milne ki raat ka

Meer Taqi Meer

qissa kahen to kya kahen milne ki raat ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    qissa kaheñ to kyā kaheñ milne raat

    pahroñ chuvāo un ne rakhā baat baat

    jur.at se garche zard huuñ par māntā hai kaun

    muñh laal jab talak na karūñ pāñch saat

    kyūñkar basar kare ġham-o-ġhussa meñ hijr ke

    ḳhūgar jo ho kisū ke koī iltifāt

    jāgah se le gayā hameñ us ḳhirām-e-nāz

    Thahrāv ho sakā na qarār-o-sabāt

    Dartā huuñ mālikān-e-jazā chhātī dekh kar

    kahne lageñ na vaah re zaḳhm us ke haath

    vā’iz kahe so sach hai vale mai-farosh se

    ham zikr bhī sunā nahīñ saum-o-salāt

    bhauñkā kareñ raqīb paḌe kū-e-yār meñ

    kis ke ta.iiñ dimāġh-e-afaf hai sagāt

    un hoñToñ harīf ho zulmāt meñ gayā

    parde meñ rū-siyāh hai āb-e-hayāt

    'ālam kisū hakīm bāñdhā tilism hai

    kuchh ho to e'tibār bhī ho kā.enāt

    gar yaar 'mīr' ahl hai to kaam sahl hai

    andesha tujh ko yūñhī hai apnī najāt

    qissa kahen to kya kahen milne ki raat ka

    pahron chuwao un ne rakha baat baat ka

    jurat se garche zard hun par manta hai kaun

    munh lal jab talak na karun panch sat ka

    kyunkar basar kare gham-o-ghussa mein hijr ke

    KHugar jo ho kisu ke koi iltifat ka

    jagah se le gaya hamein us ka KHiram-e-naz

    Thahraw ho saka na qarar-o-sabaat ka

    Darta hun malikan-e-jaza chhati dekh kar

    kahne lagen na wah re zaKHm us ke hath ka

    wa’iz kahe so sach hai wale mai-farosh se

    hum zikr bhi suna nahin saum-o-salat ka

    bhaunka karen raqib paDe ku-e-yar mein

    kis ke tain dimagh-e-afaf hai sagat ka

    un honTon ka harif ho zulmat mein gaya

    parde mein ru-siyah hai aab-e-hayat ka

    'alam kisu hakim ka bandha tilism hai

    kuchh ho to e'tibar bhi ho kaenat ka

    gar yar 'mir' ahl hai to kaam sahl hai

    andesha tujh ko yunhi hai apni najat ka

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1314
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now