rabta baham hai koi din ka yan
rābta bāham hai koī din kā yaañ
phir zamāne meñ kahāñ tum ham kahāñ
gum huā huuñ yaañ se jā kar maiñ jahāñ
kuchh nahīñ paidā kahāñ merā nishāñ
piirī meñ hai tifl-e-maktab sā juhūl
hai falak karne ke qābil āsmāñ
tū kahe vaañ nā-gahāñ bijlī girī
vo nigāh-e-tund kartā hai jahāñ
bhūle bhī maiñ yak nazar dekhā nahīñ
us pe hai vo be-dimāġh o bad-gumāñ
'ishq ne taklīf kī mā-lā-yutāq
baar amānat kā girāñ maiñ nā-tavāñ
kaam kuchh aa.ī na dil kī bhī kashish
khiñch rahā hai ham se vo abrū-kamāñ
kyā chhupī haiñ bāteñ mere 'ishq kī
dāstāñ-dar-dāstāñ hai dāstāñ
'ishq meñ kyūñkar basar kariyegā 'umr
dil lagā hai jis se so nā-mehrbāñ
jo zamīñ pā-laġhz thī shāyad ki 'mīr'
ho vahīñ masjūd us kā āstāñ
rabta baham hai koi din ka yan
phir zamane mein kahan tum hum kahan
gum hua hun yan se ja kar main jahan
kuchh nahin paida kahan mera nishan
piri mein hai tifl-e-maktab sa juhul
hai falak karne ke qabil aasman
tu kahe wan na-gahan bijli giri
wo nigah-e-tund karta hai jahan
bhule bhi main yak nazar dekha nahin
us pe hai wo be-dimagh o bad-guman
'ishq ne taklif ki ma-la-yutaq
bar amanat ka giran main na-tawan
kaam kuchh aai na dil ki bhi kashish
khinch raha hai hum se wo abru-kaman
kya chhupi hain baaten mere 'ishq ki
dastan-dar-dastan hai dastan
'ishq mein kyunkar basar kariyega 'umr
dil laga hai jis se so na-mehrban
jo zamin pa-laghz thi shayad ki 'mir'
ho wahin masjud us ka aastan
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1844
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.