raftan-e-rangin-e-gul-ruyan se kya Thahraw ho
raftan-e-rangīn-e-gul-rūyāñ se kyā Thahrāv ho
saath un ke chal tamāshā kar le jis ko chaav ho
qad jo ḳham piirī se ho to sar kā dhunnā hech hai
ho chukā honā jo kuchh thā ab 'abas pachhtāo ho
ḳhuun ke sailāb meñ Duube huoñ kā kyā shumār
Tuk bahe vo jadval-e-shamshīr to suthrāv ho
thī vafā-o-mehr to bābat dayār-e-'ishq kī
dekheñ shahr-e-husn meñ is jins kā kyā bhaav ho
girya-e-ḳhūnīñ se haiñ ruḳhsār mere lā'l-e-tar
dīda-e-ḳhūñ-bār yuuñ haiñ jaise muñh par ghaav ho
raftan-e-rangin-e-gul-ruyan se kya Thahraw ho
sath un ke chal tamasha kar le jis ko chaw ho
qad jo KHam piri se ho to sar ka dhunna hech hai
ho chuka hona jo kuchh tha ab 'abas pachhtao ho
KHun ke sailab mein Dube huon ka kya shumar
Tuk bahe wo jadwal-e-shamshir to suthraw ho
thi wafa-o-mehr to babat dayar-e-'ishq ki
dekhen shahr-e-husn mein is jins ka kya bhaw ho
girya-e-KHunin se hain ruKHsar mere la'l-e-tar
dida-e-KHun-bar yun hain jaise munh par ghaw ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1478
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.