raha main to izzat ka eazaz karta
rahā maiñ to izzat kā e.azāz kartā
chalā ishq ḳhvārī ko mumtāz kartā
na hotā maiñ hasrat meñ muhtāj-e-girya
jo kuchh āñsuoñ ko pas-andāz kartā
na Thahrā mire paas dil varna ab tak
use aisā hī maiñ to jāñbāz kartā
jo jānūñ ki darpe hai aisā vo dushman
to kaahe ko ulfat se maiñ saaz kartā
tū tamkīn se kuchh na bolā vagarna
masīhā sanam tark e.ajāz kartā
gulū-gīr hī ho ga.ī yāva-goī
rahā maiñ ḳhamoshī ko āvāz kartā
ziyārat-gah-e-kabk tū ho balā se
Tuk aa 'mīr' kī ḳhaak par naaz kartā
raha main to izzat ka eazaz karta
chala ishq KHwari ko mumtaz karta
na hota main hasrat mein muhtaj-e-girya
jo kuchh aansuon ko pas-andaz karta
na Thahra mere pas dil warna ab tak
use aisa hi main to jaanbaz karta
jo jaanun ki darpe hai aisa wo dushman
to kahe ko ulfat se main saz karta
tu tamkin se kuchh na bola wagarna
masiha sanam tark eajaz karta
gulu-gir hi ho gai yawa-goi
raha main KHamoshi ko aawaz karta
ziyarat-gah-e-kabk tu ho bala se
Tuk aa 'mir' ki KHak par naz karta
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0762
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.