Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahe KHayal tanik hum bhi ru-siyahon ka

Meer Taqi Meer

rahe KHayal tanik hum bhi ru-siyahon ka

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    rahe ḳhayāl tanik ham bhī rū-siyāhoñ

    lage ho ḳhuun bahut karne be-gunāhoñ

    nahīñ sitāre ye sūrāḳh paḌ ga.e haiñ tamām

    falak harīf huā thā hamārī aahoñ

    galī meñ us phaTe kapḌoñ par mire mat

    libās-e-faqr hai vaañ faḳhr bādshāhoñ

    tamām zulf ke kūche haiñ mār-e-pech us

    tujhī ko aave dilā chalnā aisī rāhoñ

    usī jo ḳhūbī se laa.e tujhe qayāmat meñ

    to harf-e-kun ne kiyā gosh dād-ḳhvāhoñ

    tamām-umr raheñ ḳhaak zer-e-pā us

    jo zor kuchh chale ham ijz dast-gāhoñ

    kahāñ se tah kareñ paidā ye nāzimān-e-hāl

    ki poch-bāfī hai kaam in julāhoñ

    hisāb kaahe roz-e-shumār meñ mujh se

    shumār nahīñ hai kuchh mire gunāhoñ

    tirī jo āñkheñ haiñ talvār ke tale bhī idhar

    fareb-ḳhurda hai 'mīr' kin nigāhoñ

    rahe KHayal tanik hum bhi ru-siyahon ka

    lage ho KHun bahut karne be-gunahon ka

    nahin sitare ye suraKH paD gae hain tamam

    falak harif hua tha hamari aahon ka

    gali mein us ki phaTe kapDon par mere mat ja

    libas-e-faqr hai wan faKHr baadshahon ka

    tamam zulf ke kuche hain mar-e-pech us ki

    tujhi ko aawe dila chalna aisi rahon ka

    usi jo KHubi se lae tujhe qayamat mein

    to harf-e-kun ne kiya gosh dad-KHwahon ka

    tamam-umr rahen KHak zer-e-pa us ki

    jo zor kuchh chale hum ijz dast-gahon ka

    kahan se tah karen paida ye naziman-e-haal

    ki poch-bafi hi hai kaam in julahon ka

    hisab kahe ka roz-e-shumar mein mujh se

    shumar hi nahin hai kuchh mere gunahon ka

    teri jo aankhen hain talwar ke tale bhi idhar

    fareb-KHurda hai tu 'mir' kin nigahon ka

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0047

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now