rakkha gunah wafa ka taqsir kya nikali
rakkhā gunah vafā kā taqsīr kyā nikālī
maarā ḳharāb kar kar ta.azīr kyā nikālī
rahtī hai chit chaḌhī hī din-rāt terī sūrat
safhe pe dil ke maiñ ne tasvīr kyā nikālī
chup bhī mirī jatā.ī us se muḳhālifoñ ne
baat aur jab banā.ī taqrīr kyā nikālī
bas thī hameñ to terī abrū kī ek jumbish
ḳhūñ-rezī ko hamārī shamshīr kyā nikālī
kī us tabīb-e-jāñ ne tajvīz marg-e-āshiq
āzār ke munāsib tadbīr kyā nikālī
dil band hai hamārā mauj-e-havā-e-gul se
ab ke junūñ meñ ham ne zanjīr kyā nikālī
naame pe lohū ro ro ḳhat khīñch Daale saare
ye 'mīr' baiThe baiThe tahrīr kyā nikālī
rakkha gunah wafa ka taqsir kya nikali
mara KHarab kar kar tazir kya nikali
rahti hai chit chaDhi hi din-raat teri surat
safhe pe dil ke main ne taswir kya nikali
chup bhi meri jatai us se muKHalifon ne
baat aur jab banai taqrir kya nikali
bas thi hamein to teri abru ki ek jumbish
KHun-rezi ko hamari shamshir kya nikali
ki us tabib-e-jaan ne tajwiz marg-e-ashiq
aazar ke munasib tadbir kya nikali
dil band hai hamara mauj-e-hawa-e-gul se
ab ke junun mein hum ne zanjir kya nikali
name pe lohu ro ro KHat khinch Dale sare
ye 'mir' baiThe baiThe tahrir kya nikali
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.