ranj-o-gham aae beshtar darpesh
ranj-o-ġham aa.e beshtar darpesh
rāh-e-raftan hai ab magar darpesh
marg-e-farhād se huā badnām
hai ḳhajālat se tesha sar-dar-pesh
yaar āñkhoñ tale hī phirtā hai
merī muddat se hai nazar darpesh
ḳhāna raushan patangoñ ne na kiyā
hai charāġhoñ ko bhī sahar darpesh
ġham se nazdīk marne ke pahuñche
duur kā 'mīr' hai safar darpesh
ranj-o-gham aae beshtar darpesh
rah-e-raftan hai ab magar darpesh
marg-e-farhad se hua badnam
hai KHajalat se tesha sar-dar-pesh
yar aankhon tale hi phirta hai
meri muddat se hai nazar darpesh
KHana raushan patangon ne na kiya
hai charaghon ko bhi sahar darpesh
gham se nazdik marne ke pahunche
dur ka 'mir' hai safar darpesh
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1635
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.