raste se chaak-e-dil ke ho aagah
raste se chāk-e-dil ke ho āgāh
yaar tak phir to kis qadar hai raah
rahtī hai ḳhalq āh-e-shab se tang
ve nahīñ sunte merī baat allāh
aañkh us muñh pe kis tarah kholūñ
juuñ palak jal rahī hai merī nigāh
ḳhat mirā dekh dekh kahne lagā
haa.e kyā kyā likhe hai nāma-siyāh
haiñ musalmān un butoñ se hameñ
'ishq hai lā-ilāha-illallāh
palkeñ is taur rote rote ga.iiñ
sabza hotā hai jis tarah lab-e-chāh
'mīr' kā'be se qasd-e-dair kiyā
jaao pyāre bhalā ḳhudā hamrāh
raste se chaak-e-dil ke ho aagah
yar tak phir to kis qadar hai rah
rahti hai KHalq aah-e-shab se tang
we nahin sunte meri baat allah
aankh us munh pe kis tarah kholun
jun palak jal rahi hai meri nigah
KHat mera dekh dekh kahne laga
hae kya kya likhe hai nama-siyah
hain musalman un buton se hamein
'ishq hai la-ilaha-illallah
palken is taur rote rote gain
sabza hota hai jis tarah lab-e-chah
'mir' ka'be se qasd-e-dair kiya
jao pyare bhala KHuda hamrah
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1243
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.