rote hain nala-kash hain ya raat din jale hain
rote haiñ nāla-kash haiñ yā raat din jale haiñ
hijrāñ meñ us ke ham ko bahutere mashġhale haiñ
juuñ duud umr guzrī sab pech-o-tāb hī meñ
itnā satā na zālim ham bhī jale bale haiñ
marnā hai ḳhaak honā ho ḳhaak uḌte phirnā
is raah meñ abhī to darpesh marhale haiñ
kis din chaman meñ yā-rab hogī sabā gul-afshāñ
kitne shikasta-par ham dīvār ke tale haiñ
jab yaad aa ga.e haiñ pā-e-hinā.ī us ke
afsos se tab apne ham haath hī male haiñ
thā jo mizāj apnā so to kahāñ rahā hai
par nisbat aglī to bhī ham in dinoñ bhale haiñ
kuchh vo jo khiñch rahā hai ham kāñpte haiñ Dar se
yaañ jūñ-kamān ghar meñ har-vaqt zalzale haiñ
ik shor hī rahā hai dīvān-pan meñ apne
zanjīr se hile haiñ gar kuchh bhī ham hile haiñ
past-o-buland dekheñ kyā 'mīr' pesh aa.e
is dasht se ham ab to sailāb se chale haiñ
rote hain nala-kash hain ya raat din jale hain
hijran mein us ke hum ko bahutere mashghale hain
jun dud umr guzri sab pech-o-tab hi mein
itna sata na zalim hum bhi jale bale hain
marna hai KHak hona ho KHak uDte phirna
is rah mein abhi to darpesh marhale hain
kis din chaman mein ya-rab hogi saba gul-afshan
kitne shikasta-par hum diwar ke tale hain
jab yaad aa gae hain pa-e-hinai us ke
afsos se tab apne hum hath hi male hain
tha jo mizaj apna so to kahan raha hai
par nisbat agli to bhi hum in dinon bhale hain
kuchh wo jo khinch raha hai hum kanpte hain Dar se
yan jun-kaman ghar mein har-waqt zalzale hain
ek shor hi raha hai diwan-pan mein apne
zanjir se hile hain gar kuchh bhi hum hile hain
past-o-buland dekhen kya 'mir' pesh aae
is dasht se hum ab to sailab se chale hain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1206
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.