roya kiye hain gham se tere hum tamam shab
royā kiye haiñ ġham se tire ham tamām shab
paḌtī rahī hai zor se shabnam tamām shab
rukne se dil ke aaj bachā huuñ to ab jiyā
chhātī hī meñ rahā hai mirā dam tamām shab
ye ittisāl ashk-e-jigar-soz kā kahāñ
rotī hai yuuñ to sham.a bhī kam-kam tamām shab
qaaf
shikva abas hai 'mīr' ki kuḌhte haiñ saare din
yā dil kā haal rahtā hai dirham tamām shab
guzrā kise jahāñ meñ ḳhushī se tamām roz
kis kī ga.ī zamāne meñ be-ġham tamām shab
roya kiye hain gham se tere hum tamam shab
paDti rahi hai zor se shabnam tamam shab
rukne se dil ke aaj bacha hun to ab jiya
chhati hi mein raha hai mera dam tamam shab
ye ittisal ashk-e-jigar-soz ka kahan
roti hai yun to shama bhi kam-kam tamam shab
qaf
shikwa abas hai 'mir' ki kuDhte hain sare din
ya dil ka haal rahta hai dirham tamam shab
guzra kise jahan mein KHushi se tamam roz
kis ki gai zamane mein be-gham tamam shab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0176
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.