sab kaam saunp usko jo kuchh kaam bhi chale
sab kaam sauñp us ko jo kuchh kaam bhī chale
jap naam us kā sub.h ko tā naam bhī chale
gul bikhre laal mere qafas par ḳhizāñ kī baav
shāyad ki ab bahār ke ayyām bhī chale
ḳhat nikle par bhī yaar na likhtā thā koī harf
so us ko ab to logoñ ke paiġhām bhī chale
saaya sī us ke pīchhe lagī phirtī hai parī
vo kyā jo aage yaar ke do-gām bhī chale
phir sā'va ke ḳhirām kī be-lutfī dekhiyo
jab raah do qadam vo gul-andām bhī chale
ab vo nahīñ ki thāme thame iztirār hai
ik 'umr ham to haath se dil thaam bhī chale
ye rāh-e-dūr-e-ishq nahīñ hotī 'mīr' tai
ham sub.h bhī chale ga.e haiñ shaam bhī chale
sab kaam saunp us ko jo kuchh kaam bhi chale
jap nam us ka subh ko ta nam bhi chale
gul bikhre lal mere qafas par KHizan ki baw
shayad ki ab bahaar ke ayyam bhi chale
KHat nikle par bhi yar na likhta tha koi harf
so us ko ab to logon ke paigham bhi chale
saya si us ke pichhe lagi phirti hai pari
wo kya jo aage yar ke do-gam bhi chale
phir sa'wa ke KHiram ki be-lutfi dekhiyo
jab rah do qadam wo gul-andam bhi chale
ab wo nahin ki thame thame iztirar hai
ek 'umr hum to hath se dil tham bhi chale
ye rah-e-dur-e-ishq nahin hoti 'mir' tai
hum subh bhi chale gae hain sham bhi chale
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1914
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.