sab sar-guzasht sun chuke ab chupke ho raho
sab sar-guzasht sun chuke ab chupke ho raho
āḳhir huī kahānī mirī tum bhī so raho
josh-e-muhīt-e-ishq meñ kyā jī se guftugū
is gauhar-e-girāmī se ab haath dho raho
funduq to hai pe ye bhī tamāshe kā rang hai
Tuk uñgliyoñ ko ḳhuun meñ mere Dubo raho
itnā siyāh-ḳhāna-e-āshiq se nang kyā
kitne dinoñ meñ aa.e ho yaañ raat to raho
Thahrāv tum ko shoḳhī se juuñ barq Tuk nahīñ
Thahre to Thahre dil bhī mirā nichle jo raho
ham-ḳhvāb tujh se ho ke rahā jaave kis tarah
milte hue samajh ke kahā kar raho raho
ḳhatra bahut hai 'mīr' rah-e-sā'b-e-ishq meñ
aisā na ho kahīñ ki dil-o-dīñ ko kho raho
sab sar-guzasht sun chuke ab chupke ho raho
aaKHir hui kahani meri tum bhi so raho
josh-e-muhit-e-ishq mein kya ji se guftugu
is gauhar-e-girami se ab hath dho raho
funduq to hai pe ye bhi tamashe ka rang hai
Tuk ungliyon ko KHun mein mere Dubo raho
itna siyah-KHana-e-ashiq se nang kya
kitne dinon mein aae ho yan raat to raho
Thahraw tum ko shoKHi se jun barq Tuk nahin
Thahre to Thahre dil bhi mera nichle jo raho
ham-KHwab tujh se ho ke raha jawe kis tarah
milte hue samajh ke kaha kar raho raho
KHatra bahut hai 'mir' rah-e-sa'b-e-ishq mein
aisa na ho kahin ki dil-o-din ko kho raho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0925
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.