sabr kahan jo tumko kahiye lag ke gale se so jao
sabr kahāñ jo tum ko kahiye lag ke gale se so jaao
bolo na bolo baiTho na baiTho khaḌe khaḌe Tuk ho jaao
barse hai ġhurbat sī ġhurbat gor ke uupar āshiq kī
abr-e-namat jo aao idhar to dekh ke tum bhī ro jaao
'mīr' jahāñ hai muqāmir-ḳhāna paidā yaañ kā na paidā hai
aao yahāñ to dāv-e-nuḳhustīñ apne ta.iiñ bhī kho jaao
sabr kahan jo tum ko kahiye lag ke gale se so jao
bolo na bolo baiTho na baiTho khaDe khaDe Tuk ho jao
barse hai ghurbat si ghurbat gor ke upar aashiq ki
abr-e-namat jo aao idhar to dekh ke tum bhi ro jao
'mir' jahan hai muqamir-KHana paida yan ka na paida hai
aao yahan to daw-e-nuKHustin apne tain bhi kho jao
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1480
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.