said-afganon se milne ki tadbir karenge
said-afganoñ se milne kī tadbīr kareñge
is dil ke ta.iiñ pesh-kash-e-tīr kareñge
fariyād-e-asīrān-e-mohabbat nahīñ be-hech
ye naale kisū dil meñ bhī tāsīr kareñge
dīvāngī kī shorisheñ dikhlā.eñge bulbul
aatī hai bahār ab hameñ zanjīr kareñge
vā us se sar-e-harf to ho go ki ye sar jaa.e
ham halq-e-burīda hī se taqrīr kareñge
rusvā.ī-e-āshiq se tasallī nahīñ ḳhūbāñ
mar jāvegā to na.ash ko tash.hīr kareñge
yā-rab vo bhī din ho.egā jo misr se chal kar
kan.āñ kī taraf qāfile shab-gīr kareñge
har-chand ki in turkoñ meñ ho jald-mizājī
par kaam meñ milne ke ye tāḳhīr kareñge
shab dekhī hai zulf us kī ba-juz dām-e-asīrī
kyā yaar ab is ḳhvāb kī ta.abīr kareñge
ġhusse meñ to hovegī tavajjoh tirī īdhar
har kaam meñ ham jaan ke taqsīr kareñge
niklā na munājātiyoñ se kaam kuchh apnā
ab koī ḳharābātī javāñ piir kareñge
mukhḌe ke tire dekhne vāloñ ke muqābil
lāvegā koī mah ko to ta.azīr kareñge
shaiḳhoñ ke na jā sub.ha-o-sajjāda pe hargiz
maqdūr talak apne ye tazvīr kareñge
bāzīcha nahīñ 'mīr' ke ahvāl kā likhnā
is qisse ko ham karte hī tahrīr kareñge
said-afganon se milne ki tadbir karenge
is dil ke tain pesh-kash-e-tir karenge
fariyaad-e-asiran-e-mohabbat nahin be-hech
ye nale kisu dil mein bhi tasir karenge
diwangi ki shorishen dikhlaenge bulbul
aati hai bahaar ab hamein zanjir karenge
wa us se sar-e-harf to ho go ki ye sar jae
hum halq-e-burida hi se taqrir karenge
ruswai-e-ashiq se tasalli nahin KHuban
mar jawega to nash ko tashhir karenge
ya-rab wo bhi din hoega jo misr se chal kar
kanan ki taraf qafile shab-gir karenge
har-chand ki in turkon mein ho jald-mizaji
par kaam mein milne ke ye taKHir karenge
shab dekhi hai zulf us ki ba-juz dam-e-asiri
kya yar ab is KHwab ki tabir karenge
ghusse mein to howegi tawajjoh teri idhar
har kaam mein hum jaan ke taqsir karenge
nikla na munajatiyon se kaam kuchh apna
ab koi KHarabaati jawan pir karenge
mukhDe ke tere dekhne walon ke muqabil
lawega koi mah ko to tazir karenge
shaiKHon ke na ja subha-o-sajjada pe hargiz
maqdur talak apne ye tazwir karenge
bazicha nahin 'mir' ke ahwal ka likhna
is qisse ko hum karte hi tahrir karenge
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0568
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.