sar-e-daur-e-falak bhi dekhun apne ru-ba-ru TuTa
sar-e-daur-e-falak bhī dekhūñ apne rū-ba-rū TuuTā
ki sang-e-mohtasib se pā-e-ḳhum dast-e-subū TuuTā
kahāñ aate mayassar tujh se mujh ko ḳhud-numā itne
huā yuuñ ittifāq ā.īna mere rū-ba-rū TuuTā
kaf-e-chālāk meñ terī jo thā sar-rishta jānoñ kā
garebāñ se mire har ik tirā Tāñkā rafū TuuTā
tarāvat thī chaman meñ sarv goyā ashk-e-qumrī se
udhar āñkheñ muñdīñ us kī ki īdhar āb-e-jū TuuTā
ḳhatar kar tū na lag chal ai sabā us zulf se itnā
balā āvegī tere sar jo us kā ek mū TuuTā
vo be-kas kyā kare kah tū rahī dil hī kī dil hī meñ
nipaT bejā tirā dil 'mīr' se ai aarzū TuuTā
sar-e-daur-e-falak bhi dekhun apne ru-ba-ru TuTa
ki sang-e-mohtasib se pa-e-KHum dast-e-subu TuTa
kahan aate mayassar tujh se mujh ko KHud-numa itne
hua yun ittifaq aaina mere ru-ba-ru TuTa
kaf-e-chaalak mein teri jo tha sar-rishta jaanon ka
gareban se mere har ek tera Tanka rafu TuTa
tarawat thi chaman mein sarw goya ashk-e-qumri se
udhar aankhen mundin us ki ki idhar aab-e-ju TuTa
KHatar kar tu na lag chal ai saba us zulf se itna
bala aawegi tere sar jo us ka ek mu TuTa
wo be-kas kya kare kah tu rahi dil hi ki dil hi mein
nipaT beja tera dil 'mir' se ai aarzu TuTa
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0120
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.