sar pe aashiq ke na ye roz-e-siyah laya karo
sar pe āshiq ke na ye roz-e-siyah laayā karo
jī ulajhtā hai bahut mat baal suljhāyā karo
tāb-e-mah kī taab kab hai nāzukī se yaar ko
chāñdnī meñ āftābī kā magar saaya karo
garche shān-e-kufr arfa.a hai vale ai rāhibāñ
ek do ham soñ ko bhī zunnār bañdhvāyā karo
shauq se dīdār ke bhī āñkhoñ meñ khiñch aaya jī
is samayñ meñ dekhne ham ko bahut aaya karo
kohkan kī hai qadam-gāh āḳhir ai ahl-e-vifāq
tauf karne be-sutūñ kā bhī kabhī jaayā karo
farq yār-o-ġhair meñ bhī ai butāñ kuchh chāhiye
itnī haT-dharmī bhī kyā insāf farmāyā karo
kab mayassar us ke muñh kā dekhnā aatā hai 'mīr'
phuul gul se apne dil ko tum bhī bahlāyā karo
sar pe aashiq ke na ye roz-e-siyah laya karo
ji ulajhta hai bahut mat baal suljhaya karo
tab-e-mah ki tab kab hai nazuki se yar ko
chandni mein aaftabi ka magar saya karo
garche shan-e-kufr arfa hai wale ai rahiban
ek do hum son ko bhi zunnar bandhwaya karo
shauq se didar ke bhi aankhon mein khinch aaya ji
is samayn mein dekhne hum ko bahut aaya karo
kohkan ki hai qadam-gah aaKHir ai ahl-e-wifaq
tauf karne be-sutun ka bhi kabhi jaya karo
farq yar-o-ghair mein bhi ai butan kuchh chahiye
itni haT-dharmi bhi kya insaf farmaya karo
kab mayassar us ke munh ka dekhna aata hai 'mir'
phul gul se apne dil ko tum bhi bahlaya karo
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1233
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.