sau KHun-chakan gile hain lab se meri zaban tak
sau ḳhūñ-chakāñ gile haiñ lab se mirī zabāñ tak
jī ruñdh gayā hai zālim ab rahm kar kahāñ tak
milne meñ mere gaahe Tuk tan diyā na un ne
hāzir rahā huuñ maiñ to apnī taraf se jaañ tak
har-chand maiñ ne sar par is rah kī ḳhaak Daalī
lekin na pahuñchīñ āñkheñ us paañv ke nishāñ tak
in haDDiyoñ kā jalnā koī humā se pūchho
laatā nahīñ hai muñh vo ab mere ustuḳhvāñ tak
us kī galī ke sag se kī hai muvāfaqat maiñ
is raah se bhī pahuñcheñ shāyad ki pāsbāñ tak
abr-e-bahār ne shab dil ko bahut jalāyā
thā barq kā chamaknā ḳhāshāk-e-āshiyāñ tak
us mah ke gosh tak to hargiz nahīñ pahuñchtī
go aah be-sarāyat jaatī hai āsmāñ tak
qaid-e-qafas meñ marnā kab shauq kā hai maane
pahuñcheñge musht-e-par bhī uḌ kar ye gulsitāñ tak
honā jahāñ kā apnī āñkhoñ meñ hai na honā
aatā nazar nahīñ kuchh jaave nazar jahāñ tak
jaatī haiñ ḳhat ke pīchhe juuñ muhr āñkheñ merī
ab kār-e-shauq merā pahuñchā hai 'mīr' yaañ tak
sau KHun-chakan gile hain lab se meri zaban tak
ji rundh gaya hai zalim ab rahm kar kahan tak
milne mein mere gahe Tuk tan diya na un ne
hazir raha hun main to apni taraf se jaan tak
har-chand main ne sar par is rah ki KHak Dali
lekin na pahunchin aankhen us panw ke nishan tak
in haDDiyon ka jalna koi huma se puchho
lata nahin hai munh wo ab mere ustuKHwan tak
us ki gali ke sag se ki hai muwafaqat main
is rah se bhi pahunchen shayad ki pasban tak
abr-e-bahaar ne shab dil ko bahut jalaya
tha barq ka chamakna KHashak-e-ashiyan tak
us mah ke gosh tak to hargiz nahin pahunchti
go aah be-sarayat jati hai aasman tak
qaid-e-qafas mein marna kab shauq ka hai mane
pahunchenge musht-e-par bhi uD kar ye gulsitan tak
hona jahan ka apni aankhon mein hai na hona
aata nazar nahin kuchh jawe nazar jahan tak
jati hain KHat ke pichhe jun muhr aankhen meri
ab kar-e-shauq mera pahuncha hai 'mir' yan tak
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0844
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.