shaista-e-gham-o-sitam-e-yar hum hue
shā.ista-e-ġham-o-sitam-e-yār ham hue
āshiq kahāñ hue ki gunahgār ham hue
kī arz jo matā.a-e-amānat azal ke biich
sab aur le sake na ḳharīdār ham hue
jī khiñch gayā asīr-e-qafas kī fuġhāñ kī or
thī choT apne dil ko giraftār ham hue
pāmāl yuuñ kiyā ki barābar haiñ ḳhaak ke
kyā zulm ho gayā jo talabgār ham hue
hotā nahīñ hai be-ḳhabarī kā ma.aal ḳhuub
afsos hai ki der ḳhabar-dār ham hue
vasl us tabīb-zāde kā jī chāhtā rahā
āḳhir is aarzū hī meñ bīmār ham hue
phal hai ye 'mīr' ishq kā us nau-bahār ke
āḳhir jo kusht-o-ḳhūñ ke sazā-vār ham hue
shaista-e-gham-o-sitam-e-yar hum hue
aashiq kahan hue ki gunahgar hum hue
ki arz jo mataa-e-amanat azal ke bich
sab aur le sake na KHaridar hum hue
ji khinch gaya asir-e-qafas ki fughan ki or
thi choT apne dil ko giraftar hum hue
pamal yun kiya ki barabar hain KHak ke
kya zulm ho gaya jo talabgar hum hue
hota nahin hai be-KHabari ka maal KHub
afsos hai ki der KHabar-dar hum hue
wasl us tabib-zade ka ji chahta raha
aaKHir is aarzu hi mein bimar hum hue
phal hai ye 'mir' ishq ka us nau-bahaar ke
aaKHir jo kusht-o-KHun ke saza-war hum hue
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1271
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.