Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab agar dil-KHwah apne be-qarari kijiye

Meer Taqi Meer

shab agar dil-KHwah apne be-qarari kijiye

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    shab agar dil-ḳhvāh apne be-qarārī kījiye

    le zamīñ se tā-falak fariyād-o-zārī kījiye

    ek din ho to kareñ ahvāl-gīrī dil aah

    mar ga.e ham kab talak tīmārdārī kījiye

    nochiye nāḳhun se muñh chaak kariye sab jigar

    meñ hai aage tire kuchh dast-kārī kījiye

    jā.iye is shahr se ab garebāñ phaaḌ kar

    kījiye kyā ġham se yuuñ mātam-guzārī kījiye

    yuuñ bane kab tak ki be-lāl-e-lab us ke har ghaḌī

    chashma-chashma ḳhūn-e-dil āñkhoñ se jaarī kījiye

    kunj-e-lab us shoḳh bhī rījhne jaa.e hai

    sarf kiije umr to us jaa.e saarī kījiye

    koh-e-ġham sar par uThā liije na kahiye muñh se kuchh

    ishq meñ juuñ kohkan kuchh burdbārī kījiye

    garche kab chāhtā hai aap aane ko yaañ

    par kabhū to ā.īye ḳhātir hamārī kījiye

    āshnā ho us se ham mar-mar ga.e ā.inda 'mīr'

    jiite rahiye to kisū se ab na yaarī kījiye

    shab agar dil-KHwah apne be-qarari kijiye

    le zamin se ta-falak fariyaad-o-zari kijiye

    ek din ho to karen ahwal-giri dil ki aah

    mar gae hum kab talak timardari kijiye

    nochiye naKHun se munh ya chaak kariye sab jigar

    ji mein hai aage tere kuchh dast-kari kijiye

    jaiye is shahr hi se ab gareban phaD kar

    kijiye kya gham se yun matam-guzari kijiye

    yun bane kab tak ki be-lal-e-lab us ke har ghaDi

    chashma-chashma KHun-e-dil aankhon se jari kijiye

    kunj-e-lab us shoKH ka bhi rijhne ki jae hai

    sarf kije umr to us jae sari kijiye

    koh-e-gham sar par uTha lije na kahiye munh se kuchh

    ishq mein jun kohkan kuchh burdbari kijiye

    garche ji kab chahta hai aap ka aane ko yan

    par kabhu to aaiye KHatir hamari kijiye

    aashna ho us se hum mar-mar gae aainda 'mir'

    jite rahiye to kisu se ab na yari kijiye

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1281
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now