aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab-e-dard-o-gham se arsa mere ji pe tang tha

Meer Taqi Meer

shab-e-dard-o-gham se arsa mere ji pe tang tha

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    shab-e-dard-o-ġham se arsa mire pe tañg thā

    aayā shab-e-firāq thī roz-e-jañg thā

    kasrat meñ dard-o-ġham na niklī koī tapish

    kūcha jigar ke zaḳhm shāyad ki tañg thā

    laayā mire mazār pe us ko ye jazb-e-ishq

    jis bevafā ko naam se bhī mere nañg thā

    dekhā hai said-gā meñ tire said jigar

    bā-āñki chhin rahā thā pe zauq-e-ḳhadañg thā

    dil se mire lagā na tirā dil hazār haif

    ye shīsha ek umr se mushtāq-e-sañg thā

    mat kar ajab jo 'mīr' tire ġham meñ mar gayā

    jiine is marīz ke koī bhī Dhañg thā

    shab-e-dard-o-gham se arsa mere ji pe tang tha

    aaya shab-e-firaq thi ya roz-e-jang tha

    kasrat mein dard-o-gham ki na nikli koi tapish

    kucha jigar ke zaKHm ka shayad ki tang tha

    laya mere mazar pe us ko ye jazb-e-ishq

    jis bewafa ko nam se bhi mere nang tha

    dekha hai said-ga mein tere said ka jigar

    ba-anki chhin raha tha pe zauq-e-KHadang tha

    dil se mere laga na tera dil hazar haif

    ye shisha ek umr se mushtaq-e-sang tha

    mat kar ajab jo 'mir' tere gham mein mar gaya

    jine ka is mariz ke koi bhi Dhang tha

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0028

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now