shorida sar rakha hai jab se us aastan par
shorīda sar rakhā hai jab se us āstāñ par
merā dimāġh tab se hai haftum āsmāñ par
ghāyal girā rahā hai fitrāk se bañdhā hai
kyā kyā sitam hue haiñ is said-e-nā-tavāñ par
lutf-e-badan ko us ke hargiz pahuñch sake na
jā paḌtī thī hamesha apnī nigāh jaañ par
ḳhāshāk o ḳhaar o ḳhas ko kar ek jā jalāyā
kyā chashm-e-shor barq-e-ḳhātif thī āshiyāñ par
vo bāġhbāñ-pisar kuchh gul gul shagufta hai ab
ye aur gul khilā hai ik phūloñ kī dukāñ par
parkāle aag ke the kyā nāla-hā-e-bulbul
shabnam se aable haiñ gul-barg sī zabāñ par
dil kyā makāñ phir us kā kyā sahn 'mīr' lekin
ġhālib hai sa'ī meñ to maidān-e-lā-makāñ par
shorida sar rakha hai jab se us aastan par
mera dimagh tab se hai haftum aasman par
ghayal gira raha hai fitrak se bandha hai
kya kya sitam hue hain is said-e-na-tawan par
lutf-e-badan ko us ke hargiz pahunch sake na
ja paDti thi hamesha apni nigah jaan par
KHashak o KHar o KHas ko kar ek ja jalaya
kya chashm-e-shor barq-e-KHatif thi aashiyan par
wo baghban-pisar kuchh gul gul shagufta hai ab
ye aur gul khila hai ek phulon ki dukan par
parkale aag ke the kya nala-ha-e-bulbul
shabnam se aable hain gul-barg si zaban par
dil kya makan phir us ka kya sahn 'mir' lekin
ghaalib hai sa'i mein to maidan-e-la-makan par
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1620
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.