sine ka soz bahut bhaDka jala tan mara
siine kā soz bahut bhaḌkā jalā tan maarā
jāma-zeboñ ne ġhazab aag pe dāman maarā
sūrat us kī mirī khīñchī thī gale lagte hue
so jafākār ne naqqāsh ko gardan maarā
dil hī meñ ḳhuun huī vasl kī ḳhvāhish ai 'mīr'
ham ne āzādgī-e-hijr se kyā man maarā
sine ka soz bahut bhaDka jala tan mara
jama-zebon ne ghazab aag pe daman mara
surat us ki meri khinchi thi gale lagte hue
so jafakar ne naqqash ko gardan mara
dil hi mein KHun hui wasl ki KHwahish ai 'mir'
hum ne aazadgi-e-hijr se kya man mara
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1347
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.