soz-e-darun se mujh pe sitam barmala hua
soz-e-darūñ se mujh pe sitam barmalā huā
TukḌā jigar kā āñkhoñ se niklā jalā huā
bad-hāl ho ke chaah meñ marne kā lutf kyā
dil lagte jo muā koī āshiq bhalā huā
niklā gayā na daam se pur-pech zulf ke
ai vaa.e ye balā-zada dil mubtalā huā
kyā aur likhiye kaisī ḳhajālat mujhe huī
sar ko jhukā.e aaya jo qāsid chalā huā
rahtā nahīñ taḌapne se Tuk haath ke tale
kyā jānūñ 'mīr' dil ko mire kyā balā huā
soz-e-darun se mujh pe sitam barmala hua
TukDa jigar ka aankhon se nikla jala hua
bad-haal ho ke chah mein marne ka lutf kya
dil lagte jo mua koi aashiq bhala hua
nikla gaya na dam se pur-pech zulf ke
ai wae ye bala-zada dil mubtala hua
kya aur likhiye kaisi KHajalat mujhe hui
sar ko jhukae aaya jo qasid chala hua
rahta nahin taDapne se Tuk hath ke tale
kya jaanun 'mir' dil ko mere kya bala hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1788
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.