suna jata hai ai ghatiye tere majlis-nashinon se
sunā jaatā hai ai ghatiye tire majlis-nashīnoñ se
ki tū daarū piye hai raat ko mil kar kamīnoñ se
ga.ī garm-iḳhtilātī kab kī un sehr-āfrīnoñ se
lage rahte haiñ dāġh-e-hijr hī ab apne sīnoñ se
gale lag kar na yak shab kaash vo mah so gayā hotā
mirī chhātī jalā kartī hai ab kitne mahīnoñ se
ḳhudā jaane hai apnā to jigar kāñpā hī kartā hai
chaḌhī tyorī se mahbūboñ kī or abrū kī chīnoñ se
bahut kotāh-dāman ḳhirqe shaiḳhoñ ke phaTe paa.e
kahīñ nikle the gore haath us ke āstīnoñ se
rahe mahv-e-ḳhayāl us ke to yak diqqat se haath aa.e
nazākat us kamar kī pūchhī ham bārīk-bīnoñ se
ba-rang-e-barg-e-gul saath ek shādābī ke hotā hai
'araq-chīñ bhīgtā hai dilbaroñ ke jab pasīnoñ se
bahut maiñ laḳht-e-dil royā mujhe ik ḳhalq ne jaanā
huā hai pahn merā naam in rangīñ nagīnoñ se
ġhazal hī kī radīf-o-qāfiya kā rafta rahnā hai
nikalnā 'mīr' ab mushkil hai merā in zamīnoñ se
suna jata hai ai ghatiye tere majlis-nashinon se
ki tu daru piye hai raat ko mil kar kaminon se
gai garm-iKHtilati kab ki un sehr-afrinon se
lage rahte hain dagh-e-hijr hi ab apne sinon se
gale lag kar na yak shab kash wo mah so gaya hota
meri chhati jala karti hai ab kitne mahinon se
KHuda jaane hai apna to jigar kanpa hi karta hai
chaDhi tyori se mahbubon ki or abru ki chinon se
bahut kotah-daman KHirqe shaiKHon ke phaTe pae
kahin nikle the gore hath us ke aastinon se
rahe mahw-e-KHayal us ke to yak diqqat se hath aae
nazakat us kamar ki puchhi hum barik-binon se
ba-rang-e-barg-e-gul sath ek shadabi ke hota hai
'araq-chin bhigta hai dilbaron ke jab pasinon se
bahut main laKHt-e-dil roya mujhe ek KHalq ne jaana
hua hai pahn mera nam in rangin naginon se
ghazal hi ki radif-o-qafiya ka rafta rahna hai
nikalna 'mir' ab mushkil hai mera in zaminon se
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1292
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.