sunta nahin agarche hamara nigar baat
suntā nahīñ agarche hamārā nigār baat
par muñh pe aa hī jaatī hai be-iḳhtiyār baat
bulbul ke bolne se hai kyoñ be-dimāġh gul
aapas meñ yuuñ to hotī hai yaaro hazār baat
muñh tak raho jo ho vo farībinda harf-zan
is thoḌe sinn-o-sāl meñ ye pechdār baat
bosa de chupke lab kā ki tab kuchh maza nahīñ
pāvegī saare shahr meñ jab ishtihār baat
hai kis kī saut ankar-e-asvāt vā.izā
kab aadmī kī jins kare hai pukār baat
aahū ko us kī chashm-e-suḳhan-go se mat milā
shahrī se kar sake hai kahīñ bhī gañvār baat
yuuñ bār-e-gul se ab ke jhuke haiñ nihāl-e-bāġh
jhuk jhuk ke jaise karte haiñ do-chār yaar baat
āzurda dil ko harf pe laane kā lutf kyā
kartī hai ḳhūñ-chakāñ mire lab se guzār baat
marjāñ koī kahe hai koī un laboñ ko la.al
kuchh rafta rafta pā hī rahegī qarār baat
yuuñ chupke chupke 'mīr' talaf hogā kab talak
kuchh hove bhiḌ kar us se bhī kar ek baar baat
sunta nahin agarche hamara nigar baat
par munh pe aa hi jati hai be-iKHtiyar baat
bulbul ke bolne se hai kyon be-dimagh gul
aapas mein yun to hoti hai yaro hazar baat
munh tak raho jo ho wo faribinda harf-zan
is thoDe sinn-o-sal mein ye pechdar baat
bosa de chupke lab ka ki tab kuchh maza nahin
pawegi sare shahr mein jab ishtihaar baat
hai kis ki saut ankar-e-aswat waiza
kab aadmi ki jins kare hai pukar baat
aahu ko us ki chashm-e-suKHan-go se mat mila
shahri se kar sake hai kahin bhi ganwar baat
yun bar-e-gul se ab ke jhuke hain nihaal-e-bagh
jhuk jhuk ke jaise karte hain do-chaar yar baat
aazurda dil ko harf pe lane ka lutf kya
karti hai KHun-chakan mere lab se guzar baat
marjaan koi kahe hai koi un labon ko lal
kuchh rafta rafta pa hi rahegi qarar baat
yun chupke chupke 'mir' talaf hoga kab talak
kuchh howe bhiD kar us se bhi kar ek bar baat
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0783
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.