sufiyan KHum wa hue hain hae aankhen wa karo
sūfiyāñ ḳhum vā hue haiñ haa.e āñkheñ vā karo
abr aaya zor ġhairat tum bhī Tuk paidā karo
mastī-o-dīvāngī kā ahd hai bāzār meñ
pā.e-kūbāñ dast-afshāñ aan kar saudā karo
har jagah dilkash hai us kī barg-e-gul se jism meñ
ek jā to jī lagāo dil ke tiiñ bejā karo
hai takalluf hai ta.ayyun is qasab-poshī kī qaid
ḳhirqa-e-sad-chāk pahno aap ko rusvā karo
garche ham par-basta taa.ir haiñ par ai gul-hā-e-tar
kuchh hameñ parvā nahīñ hai tum agar par vā karo
sufiyan KHum wa hue hain hae aankhen wa karo
abr aaya zor ghairat tum bhi Tuk paida karo
masti-o-diwangi ka ahd hai bazar mein
pae-kuban dast-afshan aan kar sauda karo
har jagah dilkash hai us ki barg-e-gul se jism mein
ek ja to ji lagao dil ke tin beja karo
hai takalluf hai tayyun is qasab-poshi ki qaid
KHirqa-e-sad-chaak pahno aap ko ruswa karo
garche hum par-basta tair hain par ai gul-ha-e-tar
kuchh hamein parwa nahin hai tum agar par wa karo
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1712
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.