ta-phunkiye na KHirqa-e-tamat ke tain
tā-phūñkiye na ḳhirqa-e-tāmāt ke ta.iiñ
husn-e-qubūl kyā ho munājāt ke ta.iiñ
kaifiyateñ uThe haiñ ye kab ḳhānqāh meñ
badnām kar rakhā hai ḳharābāt ke ta.iiñ
Dariye ḳhirām-e-nāz se ḳhūbāñ ke ham-nashīñ
Thokar se ye uThāte haiñ āfāt ke ta.iiñ
ham jānte haiñ yā ki dil-e-āshnā-zada
kahiye so kis se ishq ke hālāt ke ta.iiñ
ḳhūbī ko us ke sā.ad-e-sīmīñ kī dekh kar
sūrat-garoñ ne khīñch rakhā haat ke ta.iiñ
itnī bhī harf-nā-shinauī ġhair ke liye
rakh kaan Tuk sunā bhī karo baat ke ta.iiñ
sayyad ho yā chamār ho us jā vafā hai shart
kab āshiqī meñ pūchhte haiñ zaat ke ta.iiñ
āḳhir ke ye sulūk ham ab tere dekh kar
karte haiñ yaad pahlī mulāqāt ke ta.iiñ
āñkhoñ ne 'mīr' sāhib-o-qibla varam kiyā
hazrat bukā kiyā na karo raat ke ta.iiñ
ta-phunkiye na KHirqa-e-tamat ke tain
husn-e-qubul kya ho munajat ke tain
kaifiyaten uThe hain ye kab KHanqah mein
badnam kar rakha hai KHarabaat ke tain
Dariye KHiram-e-naz se KHuban ke ham-nashin
Thokar se ye uThate hain aafat ke tain
hum jaante hain ya ki dil-e-ashna-zada
kahiye so kis se ishq ke haalat ke tain
KHubi ko us ke saad-e-simin ki dekh kar
surat-garon ne khinch rakha hat ke tain
itni bhi harf-na-shinaui ghair ke liye
rakh kan Tuk suna bhi karo baat ke tain
sayyad ho ya chamar ho us ja wafa hai shart
kab aashiqi mein puchhte hain zat ke tain
aaKHir ke ye suluk hum ab tere dekh kar
karte hain yaad pahli mulaqat ke tain
aankhon ne 'mir' sahib-o-qibla waram kiya
hazrat buka kiya na karo raat ke tain
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0330
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.