tad us bahishti ru se ye KHalta baham kiya
tad us bahishtī rū se ye ḳhalta baham kiyā
jad barsoñ ham ne sūra-e-yūsuf ko dam kiyā
chehre ko noch noch liyā chhātī kuuT lī
jaane kā dil ke ham ne bahut ġham alam kiyā
marbūt aur logoñ se shāyad ki ve hue
vo rabt o rābta jo bahut ham se kam kiyā
kyā kyā suḳhan zabāñ pe mirī aa.e ho ke qatl
mānind-e-ḳhāma go ki mirā sar qalam kiyā
kī ham ne tab darūne kī sozish se 'āqibat
sab tan-badan is aag ne apnā bhasam kiyā
yaañ apne jism-e-zār pe talvār sī lagī
un ne jo be-dimāġhī se abrū ko ḳham kiyā
is zindagī se maare hī jaanā bhalā thā 'mīr'
rahm un ne mere haq meñ kiyā kyā sitam kiyā
tad us bahishti ru se ye KHalta baham kiya
jad barson hum ne sura-e-yusuf ko dam kiya
chehre ko noch noch liya chhati kuT li
jaane ka dil ke hum ne bahut gham alam kiya
marbut aur logon se shayad ki we hue
wo rabt o rabta jo bahut hum se kam kiya
kya kya suKHan zaban pe meri aae ho ke qatl
manind-e-KHama go ki mera sar qalam kiya
ki hum ne tab darune ki sozish se 'aqibat
sab tan-badan is aag ne apna bhasam kiya
yan apne jism-e-zar pe talwar si lagi
un ne jo be-dimaghi se abru ko KHam kiya
is zindagi se mare hi jaana bhala tha 'mir'
rahm un ne mere haq mein kiya kya sitam kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1072
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.