tujhse har aan mere pas ka aana hi gaya
tujh se har aan mire paas kā aanā hī gayā
kyā gila kiije ġharaz ab vo zamāna hī gayā
chashm bin ashk huī yā na huī yaksāñ hai
ḳhaak meñ jab vo milā motī kā daana hī gayā
barr-e-majnūñ meñ ḳhird-mand koī jā na sakā
āqibat sar ko qadam kar ye divāna hī gayā
ham asīroñ ko bhalā kyā jo bahār aa.ī nasīm
umr guzrī ki vo gulzār kā jaanā hī gayā
jī gayā 'mīr' kā is lait-o-la.al meñ lekin
na gayā zulm hī terā na bahāna hī gayā
tujh se har aan mere pas ka aana hi gaya
kya gila kije gharaz ab wo zamana hi gaya
chashm bin ashk hui ya na hui yaksan hai
KHak mein jab wo mila moti ka dana hi gaya
barr-e-majnun mein KHird-mand koi ja na saka
aaqibat sar ko qadam kar ye diwana hi gaya
hum asiron ko bhala kya jo bahaar aai nasim
umr guzri ki wo gulzar ka jaana hi gaya
ji gaya 'mir' ka is lait-o-lal mein lekin
na gaya zulm hi tera na bahana hi gaya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0125
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.