tumko humse lag lagi hai rote hain to hanste ho
tum ko ham se laag lagī hai rote haiñ to hañste ho
ham ne kamar ko khol rakhā hai apnī kamar tum kaste ho
durj-e-gauhar maal nahīñ kuchh deñ dar-basta misr agar
to bhī aisī qīmat par tum aage hamāre saste ho
raste raah meñ dekh liyā hai bastī meñ se nikle tumheñ
kyā jāneñ ham roz-o-shab tum kīdhar raste baste ho
abr-e-karam kī raah tako ab rahmat-e-haq pe nazar rakho
go ki tum ai mastāñ mujrim us ġham se dil-ḳhaste ho
piirī meñ bhī javāñ rakhā hai duḳhtar-e-tāk kī sohbat ne
ya.anī pī pī mai-e-añgūrī 'mīr' hue kaT-maste ho
tum ko hum se lag lagi hai rote hain to hanste ho
hum ne kamar ko khol rakha hai apni kamar tum kaste ho
durj-e-gauhar mal nahin kuchh den dar-basta misr agar
to bhi aisi qimat par tum aage hamare saste ho
raste rah mein dekh liya hai basti mein se nikle tumhein
kya jaanen hum roz-o-shab tum kidhar raste baste ho
abr-e-karam ki rah tako ab rahmat-e-haq pe nazar rakho
go ki tum ai mastan mujrim us gham se dil-KHaste ho
piri mein bhi jawan rakha hai duKHtar-e-tak ki sohbat ne
yani pi pi mai-e-anguri 'mir' hue kaT-maste ho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1715
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.