Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un dilbaron se rabta karna hai kaam kya

Meer Taqi Meer

un dilbaron se rabta karna hai kaam kya

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    un dilbaroñ se rābta karnā hai kaam kyā

    kar ik salām pūchhnā sāhab naam kyā

    hairat hai kholeñ chashm-e-tamāshā kahāñ kahāñ

    husn-o-jamāl vaisā hai us ḳhirām kyā

    ik nigāh garm jahāñ un se mil ga.e

    āshiq ko dilbaroñ se salām-o-payām kyā

    shukr-e-ḳhudā ki sar na faro laa.e ham kahīñ

    kyā jāneñ sajda kahte haiñ kis ko salām kyā

    is kunj-e-lab pe chupke hue muñh ko rakh ke ham

    dilchasp is maqām meñ harf-o-kalām kyā

    jis jaa.e us ke chehre se karte haiñ guftugū

    mir.āt-o-māh-o-gul hai us maqām kyā

    kahtā hai kaun badr meñ nuqsān kuchh rahā

    par muñh khule pe us ke hai māh-e-tamām kyā

    ye jānūñ huuñ ki dil ko hai us rū-o-mū se laag

    kyā jānūñ pesh aave hai ab sub.h-o-shām kyā

    tasbīh tak to 'mīr' ne rakkhā kalāl ke

    vaqt-e-namāz ab bhī hue the imaam kyā

    un dilbaron se rabta karna hai kaam kya

    kar ek salam puchhna sahab ka nam kya

    hairat hai kholen chashm-e-tamasha kahan kahan

    husn-o-jamal waisa hai us ka KHiram kya

    ki ek nigah garm jahan un se mil gae

    aashiq ko dilbaron se salam-o-payam kya

    shukr-e-KHuda ki sar na faro lae hum kahin

    kya jaanen sajda kahte hain kis ko salam kya

    is kunj-e-lab pe chupke hue munh ko rakh ke hum

    dilchasp is maqam mein harf-o-kalam kya

    jis jae us ke chehre se karte hain guftugu

    miraat-o-mah-o-gul ka hai us ja maqam kya

    kahta hai kaun badr mein nuqsan kuchh raha

    par munh khule pe us ke hai mah-e-tamam kya

    ye jaanun hun ki dil ko hai us ru-o-mu se lag

    kya jaanun pesh aawe hai ab subh-o-sham kya

    tasbih tak to 'mir' ne rakkha kalal ke

    waqt-e-namaz ab bhi hue the imam kya

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1060
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now