us aastan-e-dagh se main zar liya kiya
us āstān-e-dāġh se maiñ zar liyā kiyā
gul dasta dasta jis ko charāġhī diyā kiyā
kyā bād-e-marg yaad karūñgā vafā tujhe
sahtā rahā jafā.eñ maiñ jab tak jiyā kiyā
ho taar taar siite hī siite jo uḌ gayā
ab tak abas maiñ apnā garebāñ siyā kiyā
sun sun ke terī baat ko kyā kyā na kah sunā
kyā kyā kahūñ maiñ tujh se ki kyā kuchh kiyā kiyā
ab vo jigar tapish se taḌaptā hai tishna-lab
muddat talak jo 'mīr' kā lohū piyā kiyā
us aastan-e-dagh se main zar liya kiya
gul dasta dasta jis ko charaghi diya kiya
kya baad-e-marg yaad karunga wafa tujhe
sahta raha jafaen main jab tak jiya kiya
ho tar tar site hi site jo uD gaya
ab tak abas main apna gareban siya kiya
sun sun ke teri baat ko kya kya na kah suna
kya kya kahun main tujh se ki kya kuchh kiya kiya
ab wo jigar tapish se taDapta hai tishna-lab
muddat talak jo 'mir' ka lohu piya kiya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0145
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.