uski gali mein ghash jo kiya aa sake na hum
us kī galī meñ ġhash jo kiyā aa sake na ham
phir ho chuke vahīñ kahīñ ghar jā sake na ham
so.e to ġhuncha ho kisū gulḳhan ke ās-pās
us tangnā meñ paañv bhī phailā sake na ham
hālāñki zāhir us ke nishāñ shash-jihat the 'mīr'
ḳhud gum rahe jo phirte bahut pā sake na ham
us ki gali mein ghash jo kiya aa sake na hum
phir ho chuke wahin kahin ghar ja sake na hum
soe to ghuncha ho kisu gulKHan ke aas-pas
us tangna mein panw bhi phaila sake na hum
haalanki zahir us ke nishan shash-jihat the 'mir'
KHud gum rahe jo phirte bahut pa sake na hum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1682
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.