uski si jo chale hai rah to kya
us kī sī jo chale hai raah to kyā
āsmāñ par gayā hai maah to kyā
laḌ ke milnā hai aap se be-lutf
yaar hove na uzr-ḳhvāh to kyā
kab ruḳh-e-badr raushan aisā hai
ek shab kā hai ishtibāh to kyā
be-ḳhirad ḳhānqah meñ haiñ go mast
vo kare mast-e-yak-nigāh to kyā
us ke pur-pech gesū ke aage
hove kaalā koī siyāh to kyā
husn vaale haiñ kaj-ravish saare
hue do-chār rū-barāh to kyā
dil rahe vasl jo mudām rahe
mil ga.e us se gaah gaah to kyā
ek allāh kā bahut hai naam
jam.a bātil hoñ sau ilaah to kyā
'mīr' kyā hai faqīr-e-mustaġhnī
aave is paas bādshāh to kyā
us ki si jo chale hai rah to kya
aasman par gaya hai mah to kya
laD ke milna hai aap se be-lutf
yar howe na uzr-KHwah to kya
kab ruKH-e-badr raushan aisa hai
ek shab ka hai ishtibah to kya
be-KHirad KHanqah mein hain go mast
wo kare mast-e-yak-nigah to kya
us ke pur-pech gesu ke aage
howe kala koi siyah to kya
husn wale hain kaj-rawish sare
hue do-chaar ru-barah to kya
dil rahe wasl jo mudam rahe
mil gae us se gah gah to kya
ek allah ka bahut hai nam
jama baatil hon sau ilah to kya
'mir' kya hai faqir-e-mustaghni
aawe is pas baadshah to kya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1558
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.