uski tarz-e-nigah mat puchho
us kī tarz-e-nigāh mat pūchho
jī hī jaane hai aah mat pūchho
kahīñ pahuñchoge be-rahī meñ bhī
gumrahāñ yuuñ ye raah mat pūchho
nau-giraftār-e-dām-e-zulf us kā
hai yahī rū-siyāh mat pūchho
haiñgī bargashta ve saf-e-mizhgāñ
phir ga.ī hai sipāh mat pūchho
qaaf
thā karam par usī ke shurb-e-mudām
mere a.amāl aah mat pūchho
tum bhī ai mālikān-e-roz-e-jazā
baḳhsh do ab gunāh mat pūchho
'mīr' āshiq ko kuchh kahe hī bane
ḳhvāh vo pūchho ḳhvāh mat pūchho
us ki tarz-e-nigah mat puchho
ji hi jaane hai aah mat puchho
kahin pahunchoge be-rahi mein bhi
gumrahan yun ye rah mat puchho
nau-giraftar-e-dam-e-zulf us ka
hai yahi ru-siyah mat puchho
haingi bargashta we saf-e-mizhgan
phir gai hai sipah mat puchho
qaf
tha karam par usi ke shurb-e-mudam
mere aamal aah mat puchho
tum bhi ai malikan-e-roz-e-jaza
baKHsh do ab gunah mat puchho
'mir' aashiq ko kuchh kahe hi bane
KHwah wo puchho KHwah mat puchho
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0405
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.