ushshaq ke tain hai ijz-o-niyaz wajib
ushshāq ke ta.iiñ hai ijz-o-niyāz vājib
hai farz-e-ain ronā dil kā gudāz vājib
yuuñ sar faro na laave nādāñ koī vagarna
rahnā sujūd meñ hai jaise namāz vājib
nā-sāzī-e-tabī.at aisī phir is ke uupar
hai har kisū se mujh ko nā-chār saaz vājib
laḌkā nahīñ rahā tū jo kam-tamīz hove
ishq-o-havas meñ ab hai kuchh imtiyāz vājib
sarfa nahīñ hai mutlaq jān-e-azīz kā bhī
ai 'mīr' tujh se zālim hai ehtirāz vājib
ushshaq ke tain hai ijz-o-niyaz wajib
hai farz-e-ain rona dil ka gudaz wajib
yun sar faro na lawe nadan koi wagarna
rahna sujud mein hai jaise namaz wajib
na-sazi-e-tabiat aisi phir is ke upar
hai har kisu se mujh ko na-chaar saz wajib
laDka nahin raha tu jo kam-tamiz howe
ishq-o-hawas mein ab hai kuchh imtiyaz wajib
sarfa nahin hai mutlaq jaan-e-aziz ka bhi
ai 'mir' tujh se zalim hai ehtiraaz wajib
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0773
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.