wahshat mein hun bala gar wadi par apni aaun
vahshat meñ huuñ balā gar vaadī par apnī aa.uuñ
majnūñ kī mehnateñ sab maiñ ḳhaak meñ milā.ūñ
hañs kar kabhū bulāyā to barsoñ tak rulāyā
us kī sitam-zarīfī kis ke ta.iiñ dikhā.ūñ
fariyādī huuñ to Tapke lohū mirī zabāñ se
naale ko bulbuloñ ke ḳhātir meñ bhī na lā.ūñ
pūchho na dil ke ġham ko aisā na hove yārāñ
mānind-e-rauza-ḳhvāñ ke majlis ke tiiñ rulā.ūñ
lagtī hai aag tan meñ dekhe se daaġh is ke
is dil jale hue pe kitnā hī jī jalā.ūñ
ik dam tū chauñk bhī paḌ shor-o-fuġhāñ se mere
ai baḳht-e-ḳhufta kab tak tere ta.iiñ jagā.ūñ
az-ḳhvesh-rafta har-dam fikr-e-visāl meñ huuñ
kitnā maiñ khoyā jā.ūñ yā-rab ki tujh ko pā.ūñ
uryāñ-tanī kī shoḳhī vahshat meñ kyā balā thī
tah gard kī na baiThī tā tan ke tiiñ chhupā.ūñ
agle ḳhatoñ ne mere mutlaq asar na baḳhshā
qāsid ke badle ab ke jaadū magar chalā.ūñ
dil-taftagī ne maarā mujh ko kahāñ mizha de
ik qatra aab tā maiñ is aag ko bujhā.ūñ
āsūdgī to ma.alūm ai 'mīr' jiite jī yaañ
ārām tab hī pā.ūñ jab jī se haath uThā.ūñ
wahshat mein hun bala gar wadi par apni aaun
majnun ki mehnaten sab main KHak mein milaun
hans kar kabhu bulaya to barson tak rulaya
us ki sitam-zarifi kis ke tain dikhaun
fariyaadi hun to Tapke lohu meri zaban se
nale ko bulbulon ke KHatir mein bhi na laun
puchho na dil ke gham ko aisa na howe yaran
manind-e-rauza-KHwan ke majlis ke tin rulaun
lagti hai aag tan mein dekhe se dagh is ke
is dil jale hue pe kitna hi ji jalaun
ek dam tu chaunk bhi paD shor-o-fughan se mere
ai baKHt-e-KHufta kab tak tere tain jagaun
az-KHwesh-rafta har-dam fikr-e-visal mein hun
kitna main khoya jaun ya-rab ki tujh ko paun
uryan-tani ki shoKHi wahshat mein kya bala thi
tah gard ki na baiThi ta tan ke tin chhupaun
agle KHaton ne mere mutlaq asar na baKHsha
qasid ke badle ab ke jadu magar chalaun
dil-taftagi ne mara mujh ko kahan mizha de
ek qatra aab ta main is aag ko bujhaun
aasudgi to malum ai 'mir' jite ji yan
aaram tab hi paun jab ji se hath uThaun
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0286
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.