we din ab salte hain jin mein phire yar ke sath
ve din ab sālte haiñ jin meñ phire yaar ke saath
lutf se harf-o-suḳhan the nigah ik pyaar ke saath
rū-ba-pas yaar ke kūche se jo ḳhurshīd gayā
'ishq thā us ke magar sāya-e-dīvār ke saath
daste nargis ke rakheñ gor pe merī vāris
tā ye jāneñ ki gayā maiñ ġham-e-dīdār ke saath
vaañ khiñchī myaan se yaañ sar ko jhukāyā maiñ ne
gardan apnī hai bañdhī yaar kī talvār ke saath
'ishq ke zaar se bolā na ḳhushūnat se karo
lutf se baat koī karte haiñ bīmār ke saath
tuhmat-e-‘ishq se ābādī bhī vaadī hai hameñ
kaun sohbat rakhe hai ḳhuuñ ke sazā-vār ke saath
ab ḳhushāmad unhīñ kī aaTh pahar karte haiñ
guftugū 'mīr' ko jin logoñ se thī 'aar ke saath
we din ab salte hain jin mein phire yar ke sath
lutf se harf-o-suKHan the nigah ek pyar ke sath
ru-ba-pas yar ke kuche se jo KHurshid gaya
'ishq tha us ke magar saya-e-diwar ke sath
daste nargis ke rakhen gor pe meri waris
ta ye jaanen ki gaya main gham-e-didar ke sath
wan khinchi myan se yan sar ko jhukaya main ne
gardan apni hai bandhi yar ki talwar ke sath
'ishq ke zar se bola na KHushunat se karo
lutf se baat koi karte hain bimar ke sath
tuhmat-e-‘ishq se aabaadi bhi wadi hai hamein
kaun sohbat rakhe hai KHun ke saza-war ke sath
ab KHushamad unhin ki aaTh pahar karte hain
guftugu 'mir' ko jin logon se thi 'ar ke sath
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1247
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.