we hum hain jinko kahiye aazar-dida mardum
ve ham haiñ jin ko kahiye āzār-dīda mardum
ulfat-gazīda mardum kulfat-kashīda mardum
hai haal apnā darham tis par hai ishq kā ġham
rahte haiñ dam-ba-ḳhud ham āfat-rasīda mardum
vo dekhe ham ko aakar jin ne na dekhe hoveñ
āzurda dil-shikasta ḳhātir-kabīda mardum
jo hai so lohū-mā.il be-taur aur jāhil
ahl-e-jahāñ haiñ saare sohbat-na-dīda mardum
jaate haiñ us kī jānib mānind-e-tīr sīdhe
misl-e-kamān-halqa qāmat-ḳhamīda mardum
aubāsh bhī hamārā kitnā hai TeḌhā bāñkā
dekh us ko ho ga.e haiñ kyā kyā kashīda mardum
mat ḳhāk-e-āshiqāñ par phir āb-e-zindagī sā
jāgeñ kahīñ na sote ye ārmīda mardum
le le ke muñh meñ tinkā milte haiñ ājizāna
maġhrūr se hamāre bar-ḳhvesh chīda mardum
the dast-basta hāzir ḳhidmat meñ 'mīr' goyā
sīmīñ-tanoñ ke āshiq haiñ zar-ḳharīda mardum
we hum hain jin ko kahiye aazar-dida mardum
ulfat-gazida mardum kulfat-kashida mardum
hai haal apna darham tis par hai ishq ka gham
rahte hain dam-ba-KHud hum aafat-rasida mardum
wo dekhe hum ko aakar jin ne na dekhe howen
aazurda dil-shikasta KHatir-kabida mardum
jo hai so lohu-mail be-taur aur jahil
ahl-e-jahan hain sare sohbat-na-dida mardum
jate hain us ki jaanib manind-e-tir sidhe
misl-e-kaman-halqa qamat-KHamida mardum
aubash bhi hamara kitna hai TeDha banka
dekh us ko ho gae hain kya kya kashida mardum
mat KHak-e-ashiqan par phir aab-e-zindagi sa
jagen kahin na sote ye aarmida mardum
le le ke munh mein tinka milte hain aajizana
maghrur se hamare bar-KHwesh chida mardum
the dast-basta hazir KHidmat mein 'mir' goya
simin-tanon ke aashiq hain zar-KHarida mardum
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1840
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.