we siyah-mui-o-giraftari
ve siyah-mūī-o-giraftārī
duzd-ġhamzoñ kī vaisī ayyārī
ab ke dil un se bach gayā to kyā
chor jaate rahe ki añdhiyārī
achchhā honā nahīñ marīz-e-ishq
saath jī ke hai dil kī bīmārī
kyoñ na abr-e-bahār par ho rang
barsoñ dekhī hai merī ḳhūñ-bārī
shor-o-fariyād-o-zārī-e-shab se
shahriyoñ ko hai mujh se be-zārī
chale jaate haiñ raat din aañsū
dīda-e-tar kī ḳhair hai jaarī
mar raheñ is meñ yā raheñ jiite
sheva apnā to hai vafādārī
kyūñke rāh-e-fanā meñ baiThiyegā
jurm-e-behad se hai girāñ-bārī
vaañ se ḳhashm-o-ḳhitāb-o-nāz-o-itāb
yaañ se iḳhlās-o-dostī yaarī
'mīr' chalne se kyoñ ho ġhāfil tum
sab ke haañ ho rahī hai tayyārī
we siyah-mui-o-giraftari
duzd-ghamzon ki waisi ayyari
ab ke dil un se bach gaya to kya
chor jate rahe ki andhiyari
achchha hona nahin mariz-e-ishq
sath ji ke hai dil ki bimari
kyon na abr-e-bahaar par ho rang
barson dekhi hai meri KHun-bari
shor-o-fariyaad-o-zari-e-shab se
shahriyon ko hai mujh se be-zari
chale jate hain raat din aansu
dida-e-tar ki KHair hai jari
mar rahen is mein ya rahen jite
shewa apna to hai wafadari
kyunke rah-e-fana mein baiThiyega
jurm-e-behad se hai giran-bari
wan se KHashm-o-KHitab-o-naz-o-itab
yan se iKHlas-o-dosti yari
'mir' chalne se kyon ho ghafil tum
sab ke han ho rahi hai tayyari
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 6, Ghazal No- 1902
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.