wo jo gulshan mein jalwa-nak hua
vo jo gulshan meñ jalva-nāk huā
phuul ġhairat se jal ke ḳhaak huā
us ke dāman talak na pahuñchā haath
thā sar-e-dast jeb chaak huā
kis qadar thā ḳhabīs shaiḳh-e-shahr
us ke marne se shahr paak huā
Dariye us rashk-e-ḳhur kī garmī se
kuchh to hai ham se jo tapāk huā
'mīr' halkān ho gayā thā bahut
so talab hī meñ phir halāk huā
wo jo gulshan mein jalwa-nak hua
phul ghairat se jal ke KHak hua
us ke daman talak na pahuncha hath
tha sar-e-dast jeb chaak hua
kis qadar tha KHabis shaiKH-e-shahr
us ke marne se shahr pak hua
Dariye us rashk-e-KHur ki garmi se
kuchh to hai hum se jo tapak hua
'mir' halkan ho gaya tha bahut
so talab hi mein phir halak hua
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 3, Ghazal No- 1063
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.