wo jo kashish thi uski taraf se kahan hai ab
vo jo kashish thī us kī taraf se kahāñ hai ab
tīr-o-kamāñ hai haath meñ siina nishāñ hai ab
itnā bhī muñh chhupānā ḳhat aa.e pe vaj.h kyā
laḌkā nahīñ hai nām-e-ḳhudā tū javāñ hai ab
phuul is chaman ke dekhte kyā kyā jhaḌe haiñ haa.e
sail-e-bahār āñkhoñ se merī ravāñ hai ab
jinn-o-malak zamīn-o-falak sab nikal ga.e
bār-e-girān-e-ishq-o-dil-e-nā-tavāñ hai ab
niklī thī us kī teġh hue ḳhush-nasīb log
gardan jhukā.ī maiñ to sunā ye amaañ hai ab
zardī-e-rang hai ġham-e-poshīda par dalīl
dil meñ jo kuchh hai muñh se hamāre ayaañ hai ab
pesh-az-dam-e-sahar mirā ronā lahū kā dekh
phūle hai jaise sāñjh vahī yaañ samāñ hai ab
nālāñ huī ki yaad hameñ sab ko de ga.ī
gulshan meñ andalīb hamārī zabāñ hai ab
barsoñ hue ga.e use par bhūltā nahīñ
yādash-ba-ḳhair 'mīr' rahe ḳhush jahāñ hai ab
wo jo kashish thi us ki taraf se kahan hai ab
tir-o-kaman hai hath mein sina nishan hai ab
itna bhi munh chhupana KHat aae pe wajh kya
laDka nahin hai nam-e-KHuda tu jawan hai ab
phul is chaman ke dekhte kya kya jhaDe hain hae
sail-e-bahaar aankhon se meri rawan hai ab
jinn-o-malak zamin-o-falak sab nikal gae
bar-e-giran-e-ishq-o-dil-e-na-tawan hai ab
nikli thi us ki tegh hue KHush-nasib log
gardan jhukai main to suna ye aman hai ab
zardi-e-rang hai gham-e-poshida par dalil
dil mein jo kuchh hai munh se hamare ayan hai ab
pesh-az-dam-e-sahar mera rona lahu ka dekh
phule hai jaise sanjh wahi yan saman hai ab
nalan hui ki yaad hamein sab ko de gai
gulshan mein andalib hamari zaban hai ab
barson hue gae use par bhulta nahin
yaadash-ba-KHair 'mir' rahe KHush jahan hai ab
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0770
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.