Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo nahin ab ki farebon se laga lete hain

Meer Taqi Meer

wo nahin ab ki farebon se laga lete hain

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    vo nahīñ ab ki fareboñ se lagā lete haiñ

    ham jo dekheñ haiñ to ve aañkh chhupā lete haiñ

    kuchh tafāvut nahīñ hastī-o-adam meñ ham bhī

    uTh ke ab qāfila-e-rafta ko lete haiñ

    nāzukī haa.e re tāle.a nikoī se kabhū

    phuul hāthoñ meñ ham us ko uThā lete haiñ

    sohbat āḳhir ko bigaḌtī hai suḳhan-sāzī se

    kyā dar-andāz bhī ik baat banā lete haiñ

    ham faqīroñ ko kuchh āzār tumhīñ dete ho

    yuuñ to is firqe se sab log duā lete haiñ

    chaak siine ke hamāre nahīñ siine achchhe

    inhīñ raḳhnoñ se dil-o-jān havā lete haiñ

    'mīr' kyā saade haiñ bīmār hue jis ke sabab

    usī attār ke laḌke se davā lete haiñ

    wo nahin ab ki farebon se laga lete hain

    hum jo dekhen hain to we aankh chhupa lete hain

    kuchh tafawut nahin hasti-o-adam mein hum bhi

    uTh ke ab qafila-e-rafta ko ja lete hain

    nazuki hae re talea ki nikoi se kabhu

    phul sa hathon mein hum us ko uTha lete hain

    sohbat aaKHir ko bigaDti hai suKHan-sazi se

    kya dar-andaz bhi ek baat bana lete hain

    hum faqiron ko kuchh aazar tumhin dete ho

    yun to is firqe se sab log dua lete hain

    chaak sine ke hamare nahin sine achchhe

    inhin raKHnon se dil-o-jaan hawa lete hain

    'mir' kya sade hain bimar hue jis ke sabab

    usi attar ke laDke se dawa lete hain

    Source:

    MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1457

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now