ya pahle we nigahen jin se ki chah nikle
yā pahle ve nigāheñ jin se ki chaah nikle
yā ab kī ve adā.eñ jo dil se aah nikle
kyūñkar na chupke chupke yuuñ jaan se guzariye
kahiye bithā jo us se bātoñ kī raah nikle
zardī-e-rang-o-ronā donoñ dalīl-e-kushtan
ḳhush-tāla’ī se merī kyā kyā gavāh nikle
ai kām-e-jāñ hai tū bhī kyā riijh kā pachā.ū
mar jā.iye to muñh se tere na vaah nikle
ḳhūbī-o-dilkashī meñ sad-chand hai tū us se
tere muqāble ko kis muñh se maah nikle
yaañ mehr thī vafā thī vaañ jaur the sitam the
phir nikle bhī to mere ye hī gunāh nikle
ġhairoñ se tū kahe hai achchhī burī sab apnī
ai yaar kab ke tere ye ḳhair-ḳhvāh nikle
rakhte to ho mukaddar par us ghaḌī se dariyo
jab ḳhaak muñh pe mal kar ye rū-siyāh nikle
ik ḳhalq 'mīr' ke ab hotī hai āstāñ par
darvesh nikle hai yuuñ juuñ bādshāh nikle
ya pahle we nigahen jin se ki chah nikle
ya ab ki we adaen jo dil se aah nikle
kyunkar na chupke chupke yun jaan se guzariye
kahiye bitha jo us se baaton ki rah nikle
zardi-e-rang-o-rona donon dalil-e-kushtan
KHush-tala’i se meri kya kya gawah nikle
ai kaam-e-jaan hai tu bhi kya rijh ka pachau
mar jaiye to munh se tere na wah nikle
KHubi-o-dilkashi mein sad-chand hai tu us se
tere muqable ko kis munh se mah nikle
yan mehr thi wafa thi wan jaur the sitam the
phir nikle bhi to mere ye hi gunah nikle
ghairon se tu kahe hai achchhi buri sab apni
ai yar kab ke tere ye KHair-KHwah nikle
rakhte to ho mukaddar par us ghaDi se dariyo
jab KHak munh pe mal kar ye ru-siyah nikle
ek KHalq 'mir' ke ab hoti hai aastan par
darwesh nikle hai yun jun baadshah nikle
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.