yan nam-e-yar kis ka wird-e-zaban na paya
yaañ nām-e-yār kis kā vird-e-zabāñ na paayā
par mutlaqan kahīñ ham us kā nishāñ na paayā
vaz.a-e-kashīda us kī rakhtī hai daaġh sab ko
nyotā kisū se ham vo abrū kamāñ na paayā
paayā na yuuñ ki kariye us kī taraf ishārat
yuuñ to jahāñ meñ ham ne us ko kahāñ na paayā
ye dil ki ḳhuun hove bar-jā na thā vagarna
vo kaun sī jagah thī us ko jahāñ na paayā
fitne kī garche baa.is āfāq meñ vahī thī
lekin kamar ko us kī ham darmiyāñ na paayā
mahrūm-e-sajda āḳhir jaanā paḌā jahāñ se
josh-e-jibāh se ham vo āstāñ na paayā
aisī hai 'mīr' kī bhī muddat se ronī sūrat
chehre pe us ke kis din aañsū ravāñ na paayā
yan nam-e-yar kis ka wird-e-zaban na paya
par mutlaqan kahin hum us ka nishan na paya
waza-e-kashida us ki rakhti hai dagh sab ko
nyota kisu se hum wo abru kaman na paya
paya na yun ki kariye us ki taraf ishaarat
yun to jahan mein hum ne us ko kahan na paya
ye dil ki KHun howe bar-ja na tha wagarna
wo kaun si jagah thi us ko jahan na paya
fitne ki garche bais aafaq mein wahi thi
lekin kamar ko us ki hum darmiyan na paya
mahrum-e-sajda aaKHir jaana paDa jahan se
josh-e-jibah se hum wo aastan na paya
aisi hai 'mir' ki bhi muddat se roni surat
chehre pe us ke kis din aansu rawan na paya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0090
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.