Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yar bin talKH zindagani thi

Meer Taqi Meer

yar bin talKH zindagani thi

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    yaar bin talḳh zindagānī thī

    dostī mudda.ā-e-jānī thī

    sar se us havā ga.ī na kabhū

    umr barbād yuuñ jaanī thī

    lutf par us ke ham-nashīñ mat

    kabhū ham par bhī mehrbānī thī

    haath aatā jo to kyā hotā

    barsoñ tak ham ne ḳhaak chhānī thī

    sheb meñ fā.eda ta.ammul

    sochnā tab thā jab javānī thī

    mere qisse se sab ga.iiñ nīñdeñ

    kuchh ajab taur kahānī thī

    āshiqī le ga.ī āḳhir

    ye balā koī nā-gahānī thī

    us ruḳh-e-ātishīñ sharm se raat

    sham.a majlis meñ paanī paanī thī

    phir suḳhan nashnuī hai vaisī

    raat ek aadh baat maanī thī

    kū-e-qātil se bach ke niklā ḳhizr

    isī meñ us zindagānī thī

    faqr par bhī thā 'mīr' ke ik rang

    kafnī pahnī so zāfrānī thī

    yar bin talKH zindagani thi

    dosti muddaa-e-jaani thi

    sar se us ki hawa gai na kabhu

    umr barbaad yun hi jaani thi

    lutf par us ke ham-nashin mat ja

    kabhu hum par bhi mehrbani thi

    hath aata jo tu to kya hota

    barson tak hum ne KHak chhani thi

    sheb mein faeda tammul ka

    sochna tab tha jab jawani thi

    mere qisse se sab ki gain ninden

    kuchh ajab taur ki kahani thi

    aashiqi ji hi le gai aaKHir

    ye bala koi na-gahani thi

    us ruKH-e-atishin ki sharm se raat

    shama majlis mein pani pani thi

    phir suKHan nashnui hai waisi hi

    raat ek aadh baat mani thi

    ku-e-qatil se bach ke nikla KHizr

    isi mein us ki zindagani thi

    faqr par bhi tha 'mir' ke ek rang

    kafni pahni so zafrani thi

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now