yari kiye kisu ka kahe ko kaam nikla
yaarī kiye kisū kā kaahe ko kaam niklā
nākām-e-ishq tab to āshiq kā naam niklā
hangāme se jahāñ meñ ham ne junūñ kiyā hai
ham jis taraf se nikle saath izhdihām niklā
pāmālī ke ḳhatar se niklā na kabk ūdhar
jīdhar se naaz kartā vo ḳhush-ḳhirām niklā
jang-e-zamāna meñ to mab.has hai ishq hī kā
bejā huā dil apnā jab vo maqām niklā
jaanā thā tujh ko ham ne tū puḳhta-maġhz hogā
dekhā to 'mīr' terā saudā bhī ḳhaam niklā
yari kiye kisu ka kahe ko kaam nikla
nakaam-e-ishq tab to aashiq ka nam nikla
hangame se jahan mein hum ne junun kiya hai
hum jis taraf se nikle sath izhdiham nikla
pamali ke KHatar se nikla na kabk udhar
jidhar se naz karta wo KHush-KHiram nikla
jang-e-zamana mein to mabhas hai ishq hi ka
beja hua dil apna jab wo maqam nikla
jaana tha tujh ko hum ne tu puKHta-maghz hoga
dekha to 'mir' tera sauda bhi KHam nikla
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1344
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.