yahi ishq hai ji khapa jaanta hai
yahī ishq hai jī khapā jāntā hai
ki jānāñ se bhī jī milā jāntā hai
badī meñ bhī kuchh ḳhūbī hovegī tab to
burā karne ko vo bhalā jāntā hai
mirā sher achchhā bhī dānista zid se
kisū aur hī kā kahā jāntā hai
zamāne ke aksar sitamgār dekhe
vahī ḳhuub tarz-e-jafā jāntā hai
nahīñ jāntā harf-e-ḳhat kyā haiñ likkhe
likhe ko hamāre miTā jāntā hai
na jaane jo begāna to baat pūchhe
so maġhrūr kab āshnā jāntā hai
nahīñ ittihād-e-tan-o-jāñ se vāqif
hameñ yaar se jo judā jāntā hai
yahi ishq hai ji khapa jaanta hai
ki jaanan se bhi ji mila jaanta hai
badi mein bhi kuchh KHubi howegi tab to
bura karne ko wo bhala jaanta hai
mera sher achchha bhi danista zid se
kisu aur hi ka kaha jaanta hai
zamane ke aksar sitamgar dekhe
wahi KHub tarz-e-jafa jaanta hai
nahin jaanta harf-e-KHat kya hain likkhe
likhe ko hamare miTa jaanta hai
na jaane jo begana to baat puchhe
so maghrur kab aashna jaanta hai
nahin ittihad-e-tan-o-jaan se waqif
hamein yar se jo juda jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.